Friday, January 20, 2012


jindgi ka falsafaa hum, kyu samajh nahi paye..
kya hoti hai jindgi, koi hume bhi to samjhaye...
bhula bisra geet koi, ya dhun hai woh meera ki..
koi kahe allah ki nehmat, ya chaupai hai geeta ki...
na koi jana na koi samjha, yeh ek aisi paheli hai...
kabhi lage raavan si dushman, kabhi yeh sacchi saheli hai..

No comments: